Aalam-e-KHwab Sahi KHwab Mein Chalte Rahiye

aalam-e-KHwab sahi KHwab mein chalte rahiye

raat kaT jaegi karwaT to badalte rahiye

kis ko malum kahan se koi patthar aa jae

hausla ho to andheron mein nikalte rahiye

ban hi jaega kabhi koi KHudi ka paikar

apne ehsas ki garmi se pighalte rahiye

zindagi silsila-e-KHwab-e-tamanna hai koi

raat bhar KHwab ko KHwabon se badalte rahiye

hum pe kya hoga zamane ki hawaon ka asar

aap mausam ki tarah roz badalte rahiye

zindagi kya hai sarabon ka safar hai 'abid'

waqt ki ret pe din raat machalte rahiye

(927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aalam-e-KHwab Sahi KHwab Mein Chalte Rahiye In English By Famous Poet Abid Karhani. Aalam-e-KHwab Sahi KHwab Mein Chalte Rahiye is written by Abid Karhani. Read famous Poem Aalam-e-KHwab Sahi KHwab Mein Chalte Rahiye for youth and Student by Abid Karhani. Free Download Aalam-e-KHwab Sahi KHwab Mein Chalte Rahiye in PDF.