Iltija Hai Ijz-o-usrat Kun-fakani Aur Hai

iltija hai ijz-o-usrat kun-fakani aur hai

guftugu-e-be-samar mojiz-bayani aur hai

qarya-e-momin pe hamla kar to pahle soch le

ye ilaqa muKHtalif ye rajdhani aur hai

har adalat likh chuki hai faisla to kya hua

faisla baqi abhi ek aasmani aur hai

kuchh na kah kar bhi sadaqat bap ki manwa gae

asghar-e-be-shir teri be-zabani aur hai

ek misra kah ke 'abid' KHud ko na shaer samajh

shusta ghazlen hain kuja aur lan-tarani aur hai

(786) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Iltija Hai Ijz-o-usrat Kun-fakani Aur Hai In English By Famous Poet Abid Kazmi. Iltija Hai Ijz-o-usrat Kun-fakani Aur Hai is written by Abid Kazmi. Read famous Poem Iltija Hai Ijz-o-usrat Kun-fakani Aur Hai for youth and Student by Abid Kazmi. Free Download Iltija Hai Ijz-o-usrat Kun-fakani Aur Hai in PDF.