Na Ho Hayat Ka Hasil To Bandagi Kya Hai

na ho hayat ka hasil to bandagi kya hai

jo be-niyaz ho sajdon se zindagi kya hai

sada-bahaar chaman mein bhi gar nasheman ho

tere baghair jo guzre wo zindagi kya hai

KHuda ko man ke KHud ko KHuda samajhta hai

ana-parasti sarasar hai bandagi kya hai

bas hum kamal samajhte hai jite rahne ko

ye karbala ne bataya ki zindagi kya hai

wo jo faqir sifat KHud ko kahta phirta hai

qaba harir ki pahne hai sadgi kya hai

(1324) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Ho Hayat Ka Hasil To Bandagi Kya Hai In English By Famous Poet Abid Kazmi. Na Ho Hayat Ka Hasil To Bandagi Kya Hai is written by Abid Kazmi. Read famous Poem Na Ho Hayat Ka Hasil To Bandagi Kya Hai for youth and Student by Abid Kazmi. Free Download Na Ho Hayat Ka Hasil To Bandagi Kya Hai in PDF.