Kaun Kahta Hai Ki Wahshat Mere Kaam Aai Hai

kaun kahta hai ki wahshat mere kaam aai hai

ye koi aur aziyyat mere kaam aai hai

yunhi main tairta phirta nahin sahraon mein

ek dariya ki nasihat mere kaam aai hai

log diwana samajhte hi nahin the mujh ko

meri bigDi hui haalat mere kaam aai hai

warna jannat se kahan mujh ko nikala jata

jo nahin ki wo ibaadat mere kaam aai hai

aaKHir-e-kar tera hijr mayassar aaya

ab kahin ja ke mohabbat mere kaam aai hai

(958) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Kahta Hai Ki Wahshat Mere Kaam Aai Hai In English By Famous Poet Abid Malik. Kaun Kahta Hai Ki Wahshat Mere Kaam Aai Hai is written by Abid Malik. Read famous Poem Kaun Kahta Hai Ki Wahshat Mere Kaam Aai Hai for youth and Student by Abid Malik. Free Download Kaun Kahta Hai Ki Wahshat Mere Kaam Aai Hai in PDF.