Jab Aasman Par Mah-o-aKHtar PalaT Kar Aae

jab aasman par mah-o-aKHtar palaT kar aae

hum ruKH pe din ki dhup liye ghar palaT kar aae

nazzara jin ka bais-e-rahm-e-nigah tha

aankhon ke samne wahi manzar palaT kar aae

har ghar sulag raha tha ajab sard aag mein

jab arsa-gah-e-jang se lashkar palaT kar aae

sad-rashk-e-iltifat tha jab us ka jaur bhi

ji kyun na chahe phir wo sitamgar palaT kar aae

jo baat guftani thi wahi an-kahi rahi

be-ras jo tazkire the zaban par palaT kar aae

duniya se ho gae na hon aazurda-dil kahin

phir is zamin par na payambar palaT kar aae

ye baat agar hai sach ki palaTta nahin hai waqt

lamhat-e-gham mere liye kyun kar palaT kar aae

kahte hain us ne dekhi thi kal ek jal-pari

har lab pe hai dua ki shanawar palaT kar aae

ai 'abid' aasman pe na kuchh bhi asar hua

mujh par hi meri aah ke patthar palaT kar aae

(1159) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Aasman Par Mah-o-aKHtar PalaT Kar Aae In English By Famous Poet Abid Munavari. Jab Aasman Par Mah-o-aKHtar PalaT Kar Aae is written by Abid Munavari. Read famous Poem Jab Aasman Par Mah-o-aKHtar PalaT Kar Aae for youth and Student by Abid Munavari. Free Download Jab Aasman Par Mah-o-aKHtar PalaT Kar Aae in PDF.