Kyun Na Apni KHubi-e-qismat Pe Itraati Hawa

kyun na apni KHubi-e-qismat pe itraati hawa

phul jaise ek badan ko chhu kar aai thi hawa

yun KHayal aata hai us ka yaad aae jis tarah

garmiyon ki dopahar mein sham ki ThanDi hawa

aur abhi sulgenge hum kamre ke aatish-dan mein

aur abhi kohsar se utregi barfili hawa

hum bhi ek jhonke se lutf-andoz ho lete kabhi

bhule-bhaTke is gali mein bhi chali aati hawa

ek zahrila dhuan bikhra gai chaaron taraf

sab ko andha kar gai aisi chali andhi hawa

us ne likh bheja hai ye pipal ke patte par mujhe

kya tujhe ras aa gai bijli ke pankhe ki hawa

kyun kar ai 'abid' bujha pata main apni tishnagi

mujh tak aane hi se pahle ho gaya pani hawa

(1015) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Na Apni KHubi-e-qismat Pe Itraati Hawa In English By Famous Poet Abid Munavari. Kyun Na Apni KHubi-e-qismat Pe Itraati Hawa is written by Abid Munavari. Read famous Poem Kyun Na Apni KHubi-e-qismat Pe Itraati Hawa for youth and Student by Abid Munavari. Free Download Kyun Na Apni KHubi-e-qismat Pe Itraati Hawa in PDF.