Aap Karishma-saz Hue Hain Hosh Mein Hai Diwana Bhi

aap karishma-saz hue hain hosh mein hai diwana bhi

husn-e-ada hai nam usi ka hairan hai parwana bhi

waqt ne aisi karwaT badli phul khile basti ujDi

wahshat ka wo zor baDha aabaad hua virana bhi

raat ki mahfil-arai ka pichhle pahar ahwal na puchh

shama ki lau bhi sard paDi thi rakh hua parwana bhi

tanhai se ghabra kar hum kya kya shikwe karte the

lekin jab se aap mile hain dost hua begana bhi

dam ke dam mein duniya badli bhiD chhaTi kohram uTha

chalte chalte sans ruki aur KHatm hua afsana bhi

main bhi sajda kar lun 'nami' lekin dil ko dhaDkan hai

kya ye wahi kaba to nahin jo kal tak tha but-KHana bhi

(913) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aap Karishma-saz Hue Hain Hosh Mein Hai Diwana Bhi In English By Famous Poet Abid Nami. Aap Karishma-saz Hue Hain Hosh Mein Hai Diwana Bhi is written by Abid Nami. Read famous Poem Aap Karishma-saz Hue Hain Hosh Mein Hai Diwana Bhi for youth and Student by Abid Nami. Free Download Aap Karishma-saz Hue Hain Hosh Mein Hai Diwana Bhi in PDF.