Rah Dushwar Bhi Hai Be-sar-o-samani Bhi

rah dushwar bhi hai be-sar-o-samani bhi

aur is dil ko hai kuchh aur pareshani bhi

ye jo manzar tere aage se sarakta hi nahin

is mein shamil hai teri aankh ki hairani bhi

apne majbur pe kuchh aur karam ho ki use

kam paDi jati hai ab gham ki farawani bhi

sirf afsos ka saya hi nahin hai hum par

hum ki hain KHwab-e-tab-o-tab ke zindani bhi

be-niyazi ki wo KHu jaise kabhi thi hi nahin

KHwab the jaise wo ayyam-e-tan-asani bhi

rah teri chhoD ke kyun jaanib-e-duniya aae

hum ko jine nahin deti ye pashemani bhi

(691) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah Dushwar Bhi Hai Be-sar-o-samani Bhi In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Rah Dushwar Bhi Hai Be-sar-o-samani Bhi is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Rah Dushwar Bhi Hai Be-sar-o-samani Bhi for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Rah Dushwar Bhi Hai Be-sar-o-samani Bhi in PDF.