Mere Pas Kya Kuchh Nahin

mere pas raaton ki tariki mein

khilne wale phul hain

aur be-KHwabi

dinon ki murjhai hui raushni hai

aur binai

mere pas lauT jaane ko ek mazi hai

aur yaad

mere pas masrufiyat ki tamam tar ranga-rangi hai

aur be-manawiyat

aur in sab se pare khulne wali aankh

main aasman ko oDh kar chalta

aur zamin ko bichhauna karta hun

jahan main hun

wahan abdiyat apni girhen kholti hai

jangal jhumte hain

baadal baraste hain

mor nachte hain

mere sine mein ek samundar ne panah le rakkhi hai

main apni aag mein jalta

apni barishon mein nahata hun

meri aawaz mein

bahut si aawazon ne ghar kar rakkha hai

aur mera libas

bahut si dhajjiyon ko joD kar tayyar kiya gaya hai

meri aankhon mein

ek girte hue shahr ka sara malba hai

aur ek mustaqil intizar

aur aansu

aur in aansuon se phul khilte hain

talab bante hain

jin mein parinde nahate hain

hanste aur KHwab dekhte hain

mere pas

duniya ko sunane ke liye kuchh git hain

aur batane ke liye kuchh baaten

main rad kiye jaane ki lazzat se aashna hun

aur pazirai ki dil-nashin muskurahaT se

bhara rahta hun

mere pas

ek aashiq ki waraftagi

dar-guzar aur be-niyazi hai

tumhaari is duniya mein

mere pas kya kuchh nahin hai

waqt aur tum par iKHtiyar ke siwa?

(945) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Pas Kya Kuchh Nahin In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Mere Pas Kya Kuchh Nahin is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Mere Pas Kya Kuchh Nahin for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Mere Pas Kya Kuchh Nahin in PDF.