Teri Duniya Ke Naqshe Mein

teri duniya mein jangal hain

hare baghat hain

aur dur tak phaile bayaban hain

kahin par bastiyan hain

raushni ke mantaqe hain

pahaDon par utarte baadalon mein

raqs karta hai samundar chaar-su

isi amboh ka hissa nahin hun main

kahan hun main

main tere lams se ek aag ban kar phailna

tasKHir ki surat bipharna chahta tha

aur itra hun

kisi be-mehr sannaTe ke maidan mein

hazimat ki dahakti ret par

bikhra paDa hun sham ki surat

main jina chahta tha teri duniya mein

tere honTon pe khilte nam ki surat

kahin dushnam ki surat

kahin aaram ki surat

main aansu tha

tere chehre pe aa kar phul dharta tha

tere dukh par

gira karta tha qadmon mein

ai chashm-e-tar kahan hun main

andhere se bhari aankhon mein

chalti hai hawa har-su

aur uDte ja rahe hain raste us mein

zamanon ke kinaron se

abad ke sard KHanon tak

hawa chalti hai har-su

aur us ki ham-rahi mein

do-qadam chalta nahin hun main

hujum-e-roz-o-shab mein

kis jagah sahma hua hun main

kahan hun main

teri duniya ke naqshe mein

kahan hun main

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Duniya Ke Naqshe Mein In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Teri Duniya Ke Naqshe Mein is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Teri Duniya Ke Naqshe Mein for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Teri Duniya Ke Naqshe Mein in PDF.