Dhup Chamki Raat Ki Taswir Pili Ho Gai

dhup chamki raat ki taswir pili ho gai

din gaya aur sard tariki nukili ho gai

jaane kis ki justuju mein is qadar ghuma kiye

hum jawan mardon ki har poshak Dhili ho gai

mai-kada se ghar ki jaanib KHud-ba-KHud kyun aa gae

sard kamre ki faza kya phir nashili ho gai

hum sarabon ke safar ke is qadar aadi hue

jal-bhari nadiyon ki lazzat bhi kasili ho gai

KHushnuma diwar-o-dar ke KHwab hi dekha kiye

jism sahra zehn viran aankh gili ho gai

(1106) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhup Chamki Raat Ki Taswir Pili Ho Gai In English By Famous Poet Abrar Azmi. Dhup Chamki Raat Ki Taswir Pili Ho Gai is written by Abrar Azmi. Read famous Poem Dhup Chamki Raat Ki Taswir Pili Ho Gai for youth and Student by Abrar Azmi. Free Download Dhup Chamki Raat Ki Taswir Pili Ho Gai in PDF.