Zamin Pe Aag Falak Par Dhuan Dikhai Diya

zamin pe aag falak par dhuan dikhai diya

mera wajud kahin darmiyan dikhai diya

har ek samt yaqin ki naqab oDhe hue

har ek paikar-e-wahm-o-guman dikhai diya

siyah chand sitare siyah suraj tha

suna hai us ko ajab ek saman dikhai diya

wo mera main tha ki main tha ya mera saya tha

kal aaine mein koi bad-guman dikhai diya

adhuri shakl adhuri nazar adhura wajud

ajib shaKHs mujhe kal wahan dikhai diya

(808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Pe Aag Falak Par Dhuan Dikhai Diya In English By Famous Poet Abrar Azmi. Zamin Pe Aag Falak Par Dhuan Dikhai Diya is written by Abrar Azmi. Read famous Poem Zamin Pe Aag Falak Par Dhuan Dikhai Diya for youth and Student by Abrar Azmi. Free Download Zamin Pe Aag Falak Par Dhuan Dikhai Diya in PDF.