Ek Waqia

KHush-bu ka ek jhonka aaya

us ne muD kar dekha

nange bazu ubhra sina

gori siDaul thirakti ranen

mini-skirt, chiKHta jism

gol machalti ranen

us ne ghaur se dekha

labon se nikli siskari si

cigarette ek sulgaya

ulTi samt ko bhagte kheton

aur khambon ko dekha

sab be kar hai koi bola

chiKHen, lazzat, nasha

nafrat, lazzat, nasha

logon ne jab alag kiya to

dekha

garm ran mein KHun ke qatre

thar thar kanp rahe the

aur munh mein lage KHun ko wo

paiham chaT raha tha

(711) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ek Waqia In English By Famous Poet Abrar Azmi. Ek Waqia is written by Abrar Azmi. Read famous Poem Ek Waqia for youth and Student by Abrar Azmi. Free Download Ek Waqia in PDF.