Biphri Lahren Raat Andheri Aur Bala Ki Aandhi Hai

biphri lahren raat andheri aur bala ki aandhi hai

girdabon ne bhi ghera hai naw bhi TuTi-phuTi hai

kis ne rakh Dale angare dil si shaKH ki aankhon par

wo kyun bhula ye KHushiyon ke phul khilane wali hai

jis ko tera sath mila wo KHush na rahe kyun phulon sa

tera to chhu lena tak bhi hijr ke rog mein shafi hai

had mein ho to pyar hai achchha warna ye bhi zahmat hai

jaise ek chingari bhaDke to jangal par bhaari hai

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Biphri Lahren Raat Andheri Aur Bala Ki Aandhi Hai In English By Famous Poet Abrar Hamid. Biphri Lahren Raat Andheri Aur Bala Ki Aandhi Hai is written by Abrar Hamid. Read famous Poem Biphri Lahren Raat Andheri Aur Bala Ki Aandhi Hai for youth and Student by Abrar Hamid. Free Download Biphri Lahren Raat Andheri Aur Bala Ki Aandhi Hai in PDF.