Agar Ankhiyon Sin Ankhiyon Ko Milaoge To Kya Hoga

agar ankhiyon sin ankhiyon ko milaoge to kya hoga

nazar kar lutf ki hum kun jalaoge to kya hoga

tumhaare lab ki surKHi lal ki manind asli hai

agar tum pan ai pyare na khaoge to kya hoga

mohabbat sin kahta hun taur bad-nami ka behtar nahin

agar KHandon ki sohbat mein na jaoge to kya hoga

tumhaare shauq mein hun jaan-ba-lab ek umr guzri hai

agar ek dam kun aa kar mukh dikhaoge to kya hoga

mera dil mil raha hai tum sun pyare baatini milna

agar hum pas zahir mein na aaoge to kya hoga

jagat ke log sare 'abru' kun pyar karte hain

agar tum bhi gale is kun lagaoge to kya hoga

(693) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Ankhiyon Sin Ankhiyon Ko Milaoge To Kya Hoga In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Agar Ankhiyon Sin Ankhiyon Ko Milaoge To Kya Hoga is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Agar Ankhiyon Sin Ankhiyon Ko Milaoge To Kya Hoga for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Agar Ankhiyon Sin Ankhiyon Ko Milaoge To Kya Hoga in PDF.