Dekho To Jaan Tum Kun Manate Hain Kab Seti

dekho to jaan tum kun manate hain kab seti

bolo KHuda ke waste Tuk lal lab seti

mukhDa tera hai jaan ye achraj tera ka chand

rozana aur KHub jhalakta hai shab seti

zulfan kun kah ki dil kun karen aap mein sin dur

ye pech-o-tab un kun hai us ke tab seti

dast-e-salam sar ke upar naqsh-e-pa hai ab

har-chand KHak-e-rah hua hun adab seti

pani mein Dub aag mein jal kar maro pe ek

aashiq na ho pukar ke kahta hun sab seti

harjaiyo har ek sin lalach nahin hai KHub

hai bhik mang khana bhala is kasab seti

bandha hai barg-e-tak ka kyun sar pe sehra

kiya 'abru' ka byah hai bint-ul-enab seti

(680) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekho To Jaan Tum Kun Manate Hain Kab Seti In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Dekho To Jaan Tum Kun Manate Hain Kab Seti is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Dekho To Jaan Tum Kun Manate Hain Kab Seti for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Dekho To Jaan Tum Kun Manate Hain Kab Seti in PDF.