Hum Nin Sajan Suna Hai Us ShoKH Ke Dahan Hai

hum nin sajan suna hai us shoKH ke dahan hai

lekin kabhu na dekha kita hai aur kahan hai

DhunDa hazar to bhi tera nishan na paya

lashkar mein gul-ruKHan ke teri masal kahan hai

ab tishnagi ka roza shayad khule hamara

sham o shafaq sajan ka missi o rang-e-pan hai

dil mein kiya hai dawa ankhiyan hui hain munkir

teri kamar ka jhagDa in do ke darmiyan hai

rahta hun ai piyare qadmon tale tumhaare

jis rah aawte ho aajiz ka whin makan hai

tujh KHatt-e-pusht-e-lab mein tis ka suKHan hua sabz

us ki zaban dahan mein manind-e-barg-e-pan hai

piri sin qad kaman hai har-chand 'abru' ka

is naujawan ki KHatir dil ab talak kashan hai

(630) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Nin Sajan Suna Hai Us ShoKH Ke Dahan Hai In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Hum Nin Sajan Suna Hai Us ShoKH Ke Dahan Hai is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Hum Nin Sajan Suna Hai Us ShoKH Ke Dahan Hai for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Hum Nin Sajan Suna Hai Us ShoKH Ke Dahan Hai in PDF.