Ishq Hai IKHtiyar Ka Dushman

ishq hai iKHtiyar ka dushman

sabr o hosh o qarar ka dushman

dil teri zulf dekh kyun na Dare

jal ho hai shikar ka dushman

sath achraj hai zulf o shane ka

mor hota hai mar ka dushman

dil-e-sozan kun Dar hai anjhuwan sin

aab ho hai sharar ka dushman

kya qayamat hai aashiqi ke rashk

yar hota hai yar ka dushman

'abru' kaun ja ke samjhawe

kyun hua dost-dar ka dushman

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Hai IKHtiyar Ka Dushman In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Ishq Hai IKHtiyar Ka Dushman is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Ishq Hai IKHtiyar Ka Dushman for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Ishq Hai IKHtiyar Ka Dushman in PDF.