Kaman Hua Hai Qad Abru Ke Gosha-ghiron Ka

kaman hua hai qad abru ke gosha-giron ka

tabahe haal teri zulf ke asiron ka

Dhale hai jis pe dil tis ka kiya hai zahir ism

wahi hai wo ki jo marja hai in zamiron ka

har ek sabz hai hindostan ka mashuq

baja hai nam ki baalam rakha hai khiron ka

murid piT ke kyun nara-zan na hon un ka

bura hai haal ki laga hai zaKHm piron ka

birah ki rah mein jo kui gira so phir na uTha

qadam phira nahin yan aa ke dast-giron ka

wo aur shakl hai karti hai dil ko jo tasKHir

abas hai shaiKH tera naqsh ye lakiron ka

saili mein jun ki laTakka ho 'abru' yun dil

sajan ki zulf mein laTka liya faqiron ka

(675) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaman Hua Hai Qad Abru Ke Gosha-ghiron Ka In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Kaman Hua Hai Qad Abru Ke Gosha-ghiron Ka is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Kaman Hua Hai Qad Abru Ke Gosha-ghiron Ka for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Kaman Hua Hai Qad Abru Ke Gosha-ghiron Ka in PDF.