Kis Ki Rakhti Hain Ye Majal Ankhiyan

kis ki rakhti hain ye majal ankhiyan

ki dekhen mukh tera sambhaal ankhiyan

surma siti bana siyah baran

aaj dil kun hui hain kal ankhiyan

raqs anjhuwan ka be-usul nahin

kaf-e-mizhgan sun de hain tal ankhiyan

jab uThati hain girya sin tufan

kaf-e-dariya karen rumal ankhiyan

said karne kun dil ke mizhgan sun

rupte hain bana ke jal ankhiyan

dil kun ek til nahin mere aaram

lagi hain jab sun tere nal ankhiyan

dil ki KHunin agar nahin to kyun

is qadar hain tumhaari lal ankhiyan

tir-e-mizhgan kaman-e-abru sin

marti hain jigar mein bhaal ankhiyan

'abru' jab kabhi nigah karen

tab le jaan tan sin ji nikal ankhiyan

(690) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ki Rakhti Hain Ye Majal Ankhiyan In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Kis Ki Rakhti Hain Ye Majal Ankhiyan is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Kis Ki Rakhti Hain Ye Majal Ankhiyan for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Kis Ki Rakhti Hain Ye Majal Ankhiyan in PDF.