Palang Kun ChhoD Khaali God Sin Jab UTh Gaya Mita

palang kun chhoD KHali god sin jab uTh gaya mita

chitar-kari lagi khane haman kun ghar hua chita

banai be-nawai ki jun tarah sab se chhuDe hum nin

tujh auron ko liya hai sath apne ek nahin mita

sirat ke tar abjad ek sur ho mil ke sab bole

ki jis kun gyan hai us jaan kun har tan hai gita

judai ke zamane ki sajan kya zyaadti kahiye

ki us zalim ki jo hum par ghaDi guzri so jug bita

muqarrar jab ki jaan-bazon mein us ka ho chuka marna

hua tab is qadar KHush-dil goya aashiq ne jag jita

laga dil yar sin tab us ko kya kaam 'abru' seti

ki zaKHmi ishq ka phir mang kar pani nahin pita

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Palang Kun ChhoD Khaali God Sin Jab UTh Gaya Mita In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Palang Kun ChhoD Khaali God Sin Jab UTh Gaya Mita is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Palang Kun ChhoD Khaali God Sin Jab UTh Gaya Mita for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Palang Kun ChhoD Khaali God Sin Jab UTh Gaya Mita in PDF.