Rakhe Koi Is Tarah Ke Lalchi Ko Kab Talak Bahla

rakhe koi is tarah ke lalchi ko kab talak bahla

chali jati hai farmaish kabhi ye la kabhi wo la

mujhe in kohna aflakon mein rahna KHush nahin aata

banaya apne dil ka hum nin aur hi ek nau-mahla

rahi hai sar nawa sanmukh gai hai bhul mansuba

teri ankhiyon nin shayad mat ki hai nargis-e-shahla

kiya tha ghair nin ham-rang ho kar wasl ka sauda

tumhaara dekh mukh ka aaftab us ka to dil dahla

kaf-e-pa yar ka hai phul ki pankhuDi se nazuk-tar

mera dil narm-tar hai us ke hote us se mat sahla

jawabon mein ghazal ke 'abru' kyun kahl karta hai

tu ek adna tawajjoh bich kah leta hai mat kahla

(763) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rakhe Koi Is Tarah Ke Lalchi Ko Kab Talak Bahla In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Rakhe Koi Is Tarah Ke Lalchi Ko Kab Talak Bahla is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Rakhe Koi Is Tarah Ke Lalchi Ko Kab Talak Bahla for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Rakhe Koi Is Tarah Ke Lalchi Ko Kab Talak Bahla in PDF.