Sanp Sar Mar Agar Jo Jawe Mar
sanp sar mar agar jo jawe mar
na kare zulf ke teri sar bar
nam laila ka dam-ba-dam le le
marta hai jangal mein majnun baD
aashiqan dekh teri sang-dili
jaan dete hain dam-ba-dam mar mar
'abru' jiw Dub jata hai
be-KHudi ki jab aawati hai lahr
(816) Peoples Rate This