KHwabon Ka Nashsha Hai Na Tamanna Ka Silsila

KHwabon ka nashsha hai na tamanna ka silsila

ab rah gaya hai bas gham-e-duniya ka silsila

aabaad dur dur hain viran se kuchh maqam

ye bastiyan hain ya koi sahra ka silsila

gardish mein jaan-o-dil hon to kyunkar mile sukun

yaro nahin ye saghar-o-mina ka silsila

do hi qadam chale the kisi ki talash mein

phir mil saka na naqsh-e-kaf-e-pa ka silsila

insan ko silsilon se milegi najat kya

duniya ke baad hai abhi uqba ka silsila

apne wajud se bhi gile par hua tamam

itna baDha shikayat-e-beja ka silsila

ek shahr-e-tishna-kaam mein jite hain yun 'sahar'

aata hai roz KHwab mein dariya ka silsila

(993) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwabon Ka Nashsha Hai Na Tamanna Ka Silsila In English By Famous Poet Abu Mohammad Sahar. KHwabon Ka Nashsha Hai Na Tamanna Ka Silsila is written by Abu Mohammad Sahar. Read famous Poem KHwabon Ka Nashsha Hai Na Tamanna Ka Silsila for youth and Student by Abu Mohammad Sahar. Free Download KHwabon Ka Nashsha Hai Na Tamanna Ka Silsila in PDF.