Zindagi KHak-basar Shola-ba-jaan Aaj Bhi Hai

zindagi KHak-basar shola-ba-jaan aaj bhi hai

tujh ko kho kar tujhe pane ka guman aaj bhi hai

ek be-nam si uljhan hai dil-o-jaan pe muhit

ek gham nam sa ehsas-e-ziyan aaj bhi hai

KHak se ta-ba-falak teri nigahon ka tilism

Thahra Thahra sa jahan-e-guzaran aaj bhi hai

tark-e-ulfat mein bhi ulfat ke nishan baqi hain

qafila luT ke teri samt rawan aaj bhi hai

kitne saqi hain ki hain jam-ba-kaf kal ki tarah

shughl-e-mai hai ki 'sahar' bar-e-garan aaj bhi hai

(908) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi KHak-basar Shola-ba-jaan Aaj Bhi Hai In English By Famous Poet Abu Mohammad Sahar. Zindagi KHak-basar Shola-ba-jaan Aaj Bhi Hai is written by Abu Mohammad Sahar. Read famous Poem Zindagi KHak-basar Shola-ba-jaan Aaj Bhi Hai for youth and Student by Abu Mohammad Sahar. Free Download Zindagi KHak-basar Shola-ba-jaan Aaj Bhi Hai in PDF.