Mehnat Se Mil Gaya Jo Safine Ke Bich Tha

mehnat se mil gaya jo safine ke bich tha

dariya-e-itr mere pasine ke bich tha

aazad ho gaya hun zaman-o-makan se

main ek ghulam tha jo madine ke bich tha

asl-e-suKHan mein nam ko pechidgi na thi

ibham jis qadar tha qarine ke bich tha

jo mere ham-sinon se baDa kar gaya mujhe

ehsas ka wo din bhi mahine ke bich tha

kam-zarfiyon ne zarf ko mazruf kar diya

jis dard mein ghira hun wo sine ke bich tha

hain mar-e-ganj mar ke bhi sab Dase hue

taqsim ka wo zahr KHazine ke bich tha

tufan-e-bahr KHak Daraata mujhe 'turab'

is se baDa bhanwar to safine ke bich tha

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mehnat Se Mil Gaya Jo Safine Ke Bich Tha In English By Famous Poet Abu Turab. Mehnat Se Mil Gaya Jo Safine Ke Bich Tha is written by Abu Turab. Read famous Poem Mehnat Se Mil Gaya Jo Safine Ke Bich Tha for youth and Student by Abu Turab. Free Download Mehnat Se Mil Gaya Jo Safine Ke Bich Tha in PDF.