Kyun Asir-e-gesu-e-KHam-dar-e-qatil Ho Gaya

kyun asir-e-gesu-e-KHam-dar-e-qatil ho gaya

hae kya baiThe-biThae tujh ko ai dil ho gaya

koi nalan koi giryan koi bismil ho gaya

us ke uThte hi digar-gun rang-e-mahfil ho gaya

intizar us gul ka is darja kya gulzar mein

nur aaKHir dida-e-nargis ka zail ho gaya

us ne talwaren lagain aise kuchh andaz se

dil ka har arman fida-e-dast-e-qatil ho gaya

qais-e-majnun ka tasawwur baDh gaya jab najd mein

har bagula dasht ka laila-e-mahmil ho gaya

ye bhi qaidi ho gaya aaKHir kamand-e-zulf ka

le asiron mein tere 'azad' shamil ho gaya

(1067) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Asir-e-gesu-e-KHam-dar-e-qatil Ho Gaya In English By Famous Poet Abul Kalam Azad. Kyun Asir-e-gesu-e-KHam-dar-e-qatil Ho Gaya is written by Abul Kalam Azad. Read famous Poem Kyun Asir-e-gesu-e-KHam-dar-e-qatil Ho Gaya for youth and Student by Abul Kalam Azad. Free Download Kyun Asir-e-gesu-e-KHam-dar-e-qatil Ho Gaya in PDF.