Koi Sang-e-rah Bhi Chamak UTha To Sitara-e-sahari Kaha

koi sang-e-rah bhi chamak uTha to sitara-e-sahari kaha

meri raat bhi tere nam thi use kis ne tira-shabi kaha

mere roz o shab bhi ajib the na shumar tha na hisab tha

kabhi umr bhar ki KHabar na thi kabhi ek pal ko sadi kaha

mujhe jaanta bhi koi na tha mere be-niyaz tere siwa

na shikast-e-dil na shikast-e-jaan ki teri KHushi ko KHushi kaha

koi yaad aa bhi gai to kya koi zaKHm khil bhi uTha to kya

jo saba qarib se ho chali use minnaton ki ghaDi kaha

bhari dopahar mein jo pas thi wo tere KHayal ki chhanw thi

kabhi shaKH-e-gul se misal di kabhi us ko sarw-e-samani kaha

kahin sang-e-rah kahin sang-e-dar ki main pattharon ke nagar mein hun

ye nahin ki dil ko KHabar na thi ye bata ki munh se kabhi kaha

mere harf harf ke hath mein sabhi aainon ki hain kirchiyan

jo zaban se ho na saka 'ada' ba-hudud-e-be-suKHani kaha

(953) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Sang-e-rah Bhi Chamak UTha To Sitara-e-sahari Kaha In English By Famous Poet Ada Jafri. Koi Sang-e-rah Bhi Chamak UTha To Sitara-e-sahari Kaha is written by Ada Jafri. Read famous Poem Koi Sang-e-rah Bhi Chamak UTha To Sitara-e-sahari Kaha for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Koi Sang-e-rah Bhi Chamak UTha To Sitara-e-sahari Kaha in PDF.