Zaban Ko Hukm Nigah-e-karam Ko Pahchane

zaban ko hukm nigah-e-karam ko pahchane

nigah ka jurm ghubar-e-alam ko pahchane

wo ek jam kahan har kisi ki qismat mein

wo ek zarf ki eajaz-e-sam ko pahchane

mata-e-dard parakhna to bas ki baat nahin

jo tujh ko dekh ke aae wo hum ko pahchane

wo dil jo KHak hue aaj tak dhaDakte hain

rah-e-wafa tere mojiz-raqam ko pahchane

sahar se pahle yahan aaftab ubhre hain

KHulus bandgi-e-chashm-e-nam ko pahchane

ye KHud-fareb ujale ye hath hath diye

diye bujhao ki insan gham ko pahchane

kisi KHayal ka saya kisi umid ki dhup

koi to aae ki dil kaif-o-kam ko pahchane

hazar kos nigahon se dil ki manzil tak

koi qarib se dekhe to hum ko pahchane

jo ham-safar bhi rahe hain sharik-e-manzil bhi

kuchh ajnabi to na the phir bhi kam ko pahchane

bahut dinon to hawaon ka hum ne ruKH dekha

baDe dinon mein mata-e-qalam ko pahchane

(1286) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaban Ko Hukm Nigah-e-karam Ko Pahchane In English By Famous Poet Ada Jafri. Zaban Ko Hukm Nigah-e-karam Ko Pahchane is written by Ada Jafri. Read famous Poem Zaban Ko Hukm Nigah-e-karam Ko Pahchane for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Zaban Ko Hukm Nigah-e-karam Ko Pahchane in PDF.