Kis Ki KHalwat Se Nikhar Kar Subh-dam Aati Hai Dhup

kis ki KHalwat se nikhar kar subh-dam aati hai dhup

kaun wo KHush-baKHt hai jis ki mulaqati hai dhup

didani hota hai do rangon ka is dam imtizaj

bundiyon ke ham-jilau ham-raqs jab aati hai dhup

tum to pyare chaDhte suraj ke parastaron mein the

kyun ho shikwa-sanj agar tan ko jala jati hai dhup

KHushbu-e-mahbus ko aazad karne ke liye

lakh ho sangin hisar-e-kohar dar aati hai dhup

is gali mein jaise us ka daKHila mamnua ho

yun dabe panw yahan aa kar guzar jati hai dhup

raat-bhar pahlu mein rahta hai munawwar aaftab

din se baDh kar apni garmi shab ko dikhlati hai dhup

dil KHushi se jhumta hai jab sar-e-diwar-e-yar

nim-wa dar se guzar kar sard ban jati hai dhup

raat pahlu mein achanak us ka chehra dekh kar

dil mein ye aaya tasawwur kitni lamhati hai dhup

barq ke dam se thi kal jis KHwab-gah mein mauj-e-nur

ab wahan bhi tarz-e-nau se jalwa dikhlati hai dhup

ai 'suhail' is mein nihan hai us ki mahbubi ka raaz

tab-e-mausam dekh kar fauran badal jati hai dhup

(617) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ki KHalwat Se Nikhar Kar Subh-dam Aati Hai Dhup In English By Famous Poet Adeeb Khalwat. Kis Ki KHalwat Se Nikhar Kar Subh-dam Aati Hai Dhup is written by Adeeb Khalwat. Read famous Poem Kis Ki KHalwat Se Nikhar Kar Subh-dam Aati Hai Dhup for youth and Student by Adeeb Khalwat. Free Download Kis Ki KHalwat Se Nikhar Kar Subh-dam Aati Hai Dhup in PDF.