BaKHshe Phir Us Nigah Ne Arman Nae Nae

baKHshe phir us nigah ne arman nae nae

mahsus ho rahe hain dil o jaan nae nae

yun qaid-e-zindagi ne rakha muztarib hamein

jaise hue hon daKHil-e-zindan nae nae

kis kis se is amanat-e-din ko bachaiye

milte hain roz dushman-e-iman nae nae

rahat ki justuju mein KHushi ki talash mein

gham palti hai umr-e-gurezan nae nae

masjid mein aur zikr buton ka janab-e-shaiKH

shayad hue hain aap musalman nae nae

dam bhar dam-e-ajal ko na hasil hua faragh

hote rahe charagh farozan nae nae

KHana-KHarab hum se jahan mein kahan 'adib'

aabaad kar rahe hain bayaban nae nae

(902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaKHshe Phir Us Nigah Ne Arman Nae Nae In English By Famous Poet Adeeb Saharanpuri. BaKHshe Phir Us Nigah Ne Arman Nae Nae is written by Adeeb Saharanpuri. Read famous Poem BaKHshe Phir Us Nigah Ne Arman Nae Nae for youth and Student by Adeeb Saharanpuri. Free Download BaKHshe Phir Us Nigah Ne Arman Nae Nae in PDF.