Rah-e-hayat Mein Jo Log Jawedan Nikle

rah-e-hayat mein jo log jawedan nikle

wahi wafa-o-mohabbat ke tarjuman nikle

ajib sehr ka aalam tha us ki mahfil mein

zaban pe naz tha jin ko wo be zaban nikle

wahan wahan pe wafa-dariyon ka zor baDha

tumhaare chahne wale jahan jahan nikle

safar ki hasraten niklin bahut meri yarab

magar jo dil mein the arman wo kahan nikle

aziz yun to bahut hain aziz kya kahiye

kai aziz magar mujh se bad-guman nikle

yaqin bahut tha mohabbat pe tum ko apni 'adil'

yaqin ke badle wahan bhi faqat guman nikle

(910) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-e-hayat Mein Jo Log Jawedan Nikle In English By Famous Poet Adeel Zaidi. Rah-e-hayat Mein Jo Log Jawedan Nikle is written by Adeel Zaidi. Read famous Poem Rah-e-hayat Mein Jo Log Jawedan Nikle for youth and Student by Adeel Zaidi. Free Download Rah-e-hayat Mein Jo Log Jawedan Nikle in PDF.