Bas Koi Aisi Kami Sare Safar Mein Rah Gai

bas koi aisi kami sare safar mein rah gai

jaise koi chiz chalte waqt ghar mein rah gai

kaun ye chalta hai mere sath be-jism-o-sada

chap ye kis ki meri har rahguzar mein rah gai

gunjte rahte hain tanhai mein bhi diwar-o-dar

kya sada us ne mujhe di thi ki ghar mein rah gai

aur to mausam guzar kar ja chuka wadi ke par

bas zara si barf har sukhe shajar mein rah gai

raat dariya mein phir ek shoala sa chakraata raha

phir koi jalti hui kashti bhanwar mein rah gai

raat bhar hota raha hai kin KHazanon ka nuzul

motiyon ki si jhalak har barg-e-tar mein rah gai

lauT kar aae na kyun jate hue lamhe 'adim'

kya kami meri sada-e-be-asar mein rah gai

(1030) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Koi Aisi Kami Sare Safar Mein Rah Gai In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Bas Koi Aisi Kami Sare Safar Mein Rah Gai is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Bas Koi Aisi Kami Sare Safar Mein Rah Gai for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Bas Koi Aisi Kami Sare Safar Mein Rah Gai in PDF.