Jab Bayan Karoge Tum Hum Bayan Mein Niklenge

jab bayan karoge tum hum bayan mein niklenge

hum hi dastan ban kar dastan mein niklenge

ishq ho mohabbat ho pyar ho ki chahat ho

hum to har samundar ke darmiyan mein niklenge

raat ka andhera hi raat mein nahin hota

chand aur sitare bhi aasman mein niklenge

dekh to kabhi shab ko karwan sitaron ka

nur ke kai mahmil kahkashan mein niklenge

boliyan zamane ki muKHtalif to hoti hain

lafz pyar ke lekin har zaban mein niklenge

kaT kar badan sara qash qash mein jhanken

aap ke hayule hi qalb-o-jaan mein niklenge

KHak ka samundar bhi kya ajab samundar hai

is jahan mein Dubenge us jahan mein niklenge

qissa-e-suKHan-goi jab 'adim' aaega

hum bhi waqia ban kar dastan mein niklenge

sirf sabz patte hi peD par nahin hote

kuchh na kuchh parinde bhi aashiyan mein niklenge

(944) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Bayan Karoge Tum Hum Bayan Mein Niklenge In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Jab Bayan Karoge Tum Hum Bayan Mein Niklenge is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Jab Bayan Karoge Tum Hum Bayan Mein Niklenge for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Jab Bayan Karoge Tum Hum Bayan Mein Niklenge in PDF.