Kisi JhuTi Wafa Se Dil Ko Bahlana Nahin Aata

kisi jhuTi wafa se dil ko bahlana nahin aata

mujhe ghar kaghazi phulon se mahkana nahin aata

main jo kuchh hun wahi kuchh hun jo zahir hai wo baatin hai

mujhe jhuTe dar-o-diwar chamkana nahin aata

main dariya hun magar bahta hun main kohsar ki jaanib

mujhe duniya ki pasti mein utar jaana nahin aata

zar-o-mal-o-jawahir le bhi aur Thukra bhi sakta hun

koi dil pesh karta ho to Thukrana nahin aata

parinda jaanib-e-dana hamesha uD ke aata hai

parinde ki taraf uD kar kabhi dana nahin aata

agar sahra mein hain to aap KHud aae hain sahra mein

kisi ke ghar to chal kar koi virana nahin aata

hua hai jo sada us ko nasibon ka likha samjha

'adim' apne kiye par mujh ko pachhtana nahin aata

(1198) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi JhuTi Wafa Se Dil Ko Bahlana Nahin Aata In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Kisi JhuTi Wafa Se Dil Ko Bahlana Nahin Aata is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Kisi JhuTi Wafa Se Dil Ko Bahlana Nahin Aata for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Kisi JhuTi Wafa Se Dil Ko Bahlana Nahin Aata in PDF.