Usi Ek Fard Ke Waste Mere Dil Mein Dard Hai Kis Liye

usi ek fard ke waste mere dil mein dard hai kis liye

meri zindagi ka mutaliba wahi ek fard hai kis liye

tu jo shahr mein hi muqim hai to musafirat ki faza hai kyun

tera karwan jo nahin gaya to hawa mein gard hai kis liye

na jamal-o-husn ki bazm hai na junun o ishq ka azm hai

sar-e-dasht raqs mein har ghaDi koi baadgard hai kis liye

tere husn se ye pata chala tujhe dekh kar ye KHabar hui

jahan rasta hi nahin koi wahan rah-naward hai kis liye

jo likha hai mere nasib mein kahin tu ne paDh to nahin liya

tera hath sard hai kis liye tera rang zard hai kis liye

wo jo tark-e-rabt ka ahd tha kahin TuTne to nahin laga

tere dil ke dard ko dekh kar mere dil mein dard hai kis liye

koi wasta jo nahin raha teri aankh mein ye nami hai kyun

mere gham ki aag ko dekh kar teri aah sard hai kis liye

(1340) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usi Ek Fard Ke Waste Mere Dil Mein Dard Hai Kis Liye In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Usi Ek Fard Ke Waste Mere Dil Mein Dard Hai Kis Liye is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Usi Ek Fard Ke Waste Mere Dil Mein Dard Hai Kis Liye for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Usi Ek Fard Ke Waste Mere Dil Mein Dard Hai Kis Liye in PDF.