Dard-e-dil Ke Tabib Hote Hain

dard-e-dil ke tabib hote hain

baz dushman ajib hote hain

waswase uljhanen tamannaen

dil ke kitne raqib hote hain

hanste hanste bigaDna ho jin ko

aise bhi to nasib hote hain

maut aur zindagi ke rishton mein

fasle kuchh ajib hote hain

din agar kaT bhi jata hai 'adil'

shab ke sae muhib hote hain

(852) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Dard-e-dil Ke Tabib Hote Hain In English By Famous Poet Adil Hayat. Dard-e-dil Ke Tabib Hote Hain is written by Adil Hayat. Read famous Poem Dard-e-dil Ke Tabib Hote Hain for youth and Student by Adil Hayat. Free Download Dard-e-dil Ke Tabib Hote Hain in PDF.