Aashiq The Shahr Mein Jo Purane Sharab Ke

aashiq the shahr mein jo purane sharab ke

hain un ke dil mein waswase ab ehtisab ke

wo jo tumhaare hath se aa kar nikal gaya

hum bhi qatil hain usi KHana-KHarab ke

phulon ki sej par zara aaram kya kiya

us gul-badan pe naqsh uTh aae gulab ke

soe to dil mein ek jahan jagne laga

jage to apni aankh mein jale the KHwab ke

bas tishnagi ki aankh se dekha karo unhen

dariya rawan-dawan hain chamakte sarab ke

okaDa itni dur na hota to ek din

bhar late sans sans mein gul aaftab ke

kis tarah jama kijiye ab apne aap ko

kaghaz bikhar rahe hain purani kitab ke

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashiq The Shahr Mein Jo Purane Sharab Ke In English By Famous Poet Adil Mansuri. Aashiq The Shahr Mein Jo Purane Sharab Ke is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Aashiq The Shahr Mein Jo Purane Sharab Ke for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Aashiq The Shahr Mein Jo Purane Sharab Ke in PDF.