Chaaron Taraf Se Maut Ne Ghera Hai Zist Ko

chaaron taraf se maut ne ghera hai zist ko

aur us ke sath hukm ki ab zindagi karo

bahar gali mein shor hai barsat ka suno

kunDi laga ke aaj to ghar mein paDe raho

chhoD aae kis ki chhat pe jawan-sal chand ko

KHamosh kis liye ho sitaro jawab do

kyun chalte chalte ruk gae viran rasto

tanha hun aaj main zara ghar tak to sath do

jis ne bhi muD ke dekha wo patthar ka ho gaya

nazren jhukae dosto chup chup chale chalo

allah rakkhe teri sahar jaisi kam-sini

dil kanpta hai jab bhi tu aati hai sham ko

viran chaman pe roi hai shabnam tamam raat

aise mein koi nannhi kali muskurae to

'adil' hawaen kab se bhi deti hain dastaken

jaldi se uTh ke kamre ka darwaza khol do

(892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaaron Taraf Se Maut Ne Ghera Hai Zist Ko In English By Famous Poet Adil Mansuri. Chaaron Taraf Se Maut Ne Ghera Hai Zist Ko is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Chaaron Taraf Se Maut Ne Ghera Hai Zist Ko for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Chaaron Taraf Se Maut Ne Ghera Hai Zist Ko in PDF.