Pahlu Ke Aar-par Guzarta Hua Sa Ho

pahlu ke aar-par guzarta hua sa ho

ek shaKHs aaine mein utarta hua sa ho

jita hua sa ho kabhi marta hua sa ho

ek shahr apne aap se Darta hua sa ho

sare kabira aap hi karta hua sa ho

ilzam dusre hi pe dharta hua sa ho

har ek naya KHayal jo Tapke hai zehn se

yun lag raha hai jaise ki barta hua sa ho

qailula kar rahe hon kisi nim ke tale

maidan mein raKHsh-e-umr bhi charta hua sa ho

mashuq aisa DhunDiye qahtur-rijal mein

har baat mein agarta magarta hua sa ho

phir baad mein wo qatl bhi kar de to harj kya

lekin wo pahle pyar bhi karta hua sa ho

gar dad tu na de na sahi galiyan sahi

apna bhi koi aib hunarta hua sa ho

(676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahlu Ke Aar-par Guzarta Hua Sa Ho In English By Famous Poet Adil Mansuri. Pahlu Ke Aar-par Guzarta Hua Sa Ho is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Pahlu Ke Aar-par Guzarta Hua Sa Ho for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Pahlu Ke Aar-par Guzarta Hua Sa Ho in PDF.