Soe Hue Palang Ke Sae Jaga Gaya

soe hue palang ke sae jaga gaya

khiDki khuli to aasman kamre mein aa gaya

aangan mein teri yaad ka jhonka jo aa gaya

tanhai ke daraKHt se patte uDa gaya

hanste chamakte KHwab ke chehre bhi miT gae

batti jali to man mein andhera sa chha gaya

aaya tha kale KHun ka sailab pichhli raat

barson purani jism ki diwar Dha gaya

taswir mein jo qaid tha wo shaKHs raat ko

KHud hi frame toD ke pahlu mein aa gaya

wo chae pi raha tha kisi dusre ke sath

mujh par nigah paDte hi kuchh jhenp sa gaya

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Soe Hue Palang Ke Sae Jaga Gaya In English By Famous Poet Adil Mansuri. Soe Hue Palang Ke Sae Jaga Gaya is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Soe Hue Palang Ke Sae Jaga Gaya for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Soe Hue Palang Ke Sae Jaga Gaya in PDF.