Siyah Sayon Ki Tishnagi Mein

siyah sayon ki tishnagi mein

udas lamhon ko sath rakkho

shikasta lafzon ke sahilon par

safed jhagon mein aks DhunDo

khanDar ki bosidgi mein chhup kar

purani yaadon ke honT chumo

KHala ke shanon pe hath rakh kar

siyahi-e-shab ki zulf sungho

sahar ki nazuk hawa ki ujli kalai pakDo

badan ki pili barahnagi ko bayan kar do

(740) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Siyah Sayon Ki Tishnagi Mein In English By Famous Poet Adil Mansuri. Siyah Sayon Ki Tishnagi Mein is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Siyah Sayon Ki Tishnagi Mein for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Siyah Sayon Ki Tishnagi Mein in PDF.