Aadhon Ki Taraf Se Kabhi Paunon Ki Taraf Se

aadhon ki taraf se kabhi paunon ki taraf se

aawaze kase jate hain baunon ki taraf se

hairat se sabhi KHak-zada dekh rahe hain

har roz zamin ghaTti hai konon ki taraf se

aankhon mein liye phirte hain is dar-badari mein

kuchh TuTe hue KHwab khilaunon ki taraf se

phir koi asa de ki wo phunkarte nikle

phir azhdahe firaun ke Tonon ki taraf se

tu wahm-o-guman se bhi pare deta hai sab ko

ho jata hai pal bhar mein na honon ki taraf se

baaton ka koi silsila jari ho kisi taur

KHamoshi hi KHamoshi hai donon ki taraf se

phir baad mein darwaza dikha dete hain 'adil'

pahle wo uThate hain bichhaunon ki taraf se

(1328) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aadhon Ki Taraf Se Kabhi Paunon Ki Taraf Se In English By Famous Poet Adil Mansuri. Aadhon Ki Taraf Se Kabhi Paunon Ki Taraf Se is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Aadhon Ki Taraf Se Kabhi Paunon Ki Taraf Se for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Aadhon Ki Taraf Se Kabhi Paunon Ki Taraf Se in PDF.