Barson Ke Jaise Lamhon Mein Ye Raat Guzarti Jaegi

barson ke jaise lamhon mein ye raat guzarti jaegi

tum samne aae gar dil ki dhaDkan bhi Thahar hi jaegi

parde mein rahun aankhen meri betab to hain par tab nahin

be-tabi-e-dil lamhati hai haalat ye sambhaali jaegi

aaina-e-dil shaffaf to ho hum ko bhi sanwarna lazim hai

hum ko bhi pata hai milne par chehre ki bahaali jaegi

kuchh KHud mein kashish paida kar lo ki mahfil tum se aankh bhare

ye chaal baDe ayyar ki hai ye chaal na KHali jaegi

ai kashif-e-soz-e-hasti sun hai tujh mein nihan asrar ki bu

gar tera guzar gulshan se hua har baat nikali jaegi

(726) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barson Ke Jaise Lamhon Mein Ye Raat Guzarti Jaegi In English By Famous Poet Afeef Siraj. Barson Ke Jaise Lamhon Mein Ye Raat Guzarti Jaegi is written by Afeef Siraj. Read famous Poem Barson Ke Jaise Lamhon Mein Ye Raat Guzarti Jaegi for youth and Student by Afeef Siraj. Free Download Barson Ke Jaise Lamhon Mein Ye Raat Guzarti Jaegi in PDF.