Shauq-e-warafta Chala Shahr-e-tamasha Ki Taraf

shauq-e-warafta chala shahr-e-tamasha ki taraf

baDh gae hum bhi hisar-e-husn-e-laila ki taraf

hum se maujen kah rahi thin aa meri aaghosh mein

hum kahan yun ja rahe the mauj-e-dariya ki taraf

is qadar Dube gunah-e-ishq mein tere habib

sochte hain jaenge kis munh se tauba ki taraf

kya zaruri hai ki hirs-e-jalwa-e-sad-rang mein

har nazar bhaTke kisi bhi husn-ara ki taraf

aayat-e-husn-o-mohabbat se hai bas do hi murad

ek hai meri taraf ek mah-para ki taraf

shahr-e-dil virana kardam pa-ba-jaulan mi-kuni

ji khincha jata hai apna ab to sahra ki taraf

sari duniya dushman-e-jaan ban gai hai ai 'siraj'

koi patthar bhi na aaya tere shaida ki taraf

(649) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shauq-e-warafta Chala Shahr-e-tamasha Ki Taraf In English By Famous Poet Afeef Siraj. Shauq-e-warafta Chala Shahr-e-tamasha Ki Taraf is written by Afeef Siraj. Read famous Poem Shauq-e-warafta Chala Shahr-e-tamasha Ki Taraf for youth and Student by Afeef Siraj. Free Download Shauq-e-warafta Chala Shahr-e-tamasha Ki Taraf in PDF.