Jaga Junun Ko Zara Naqsha-e-muqaddar Khinch

jaga junun ko zara naqsha-e-muqaddar khinch

nai sadi ko nai karbala se bahar khinch

main zehni taur se aazad hone lagta hun

mere shuur mujhe apni had ke andar khinch

nai zamin lahu ka KHiraj leti hai

dayar-e-ghair mein bhi KHushnuma sa manzar khinch

udas raat mein tare gawah bante hain

rag-e-hubab se tu qatilana KHanjar khinch

abhi sitaron mein baqi hai zindagi ki ramaq

kuchh aur der zara narm garm chadar khinch

wajud-e-shahr to jangal mein Dhal chuka 'alam'

ab is jagah se mujhe jaanib-e-samundar khinch

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaga Junun Ko Zara Naqsha-e-muqaddar Khinch In English By Famous Poet Afroz Alam. Jaga Junun Ko Zara Naqsha-e-muqaddar Khinch is written by Afroz Alam. Read famous Poem Jaga Junun Ko Zara Naqsha-e-muqaddar Khinch for youth and Student by Afroz Alam. Free Download Jaga Junun Ko Zara Naqsha-e-muqaddar Khinch in PDF.