Tumhaare Hijr Mein Kyun Zindagi Na Mushkil Ho

tumhaare hijr mein kyun zindagi na mushkil ho

tumhin jigar ho tumhin jaan ho tumhin dil ho

ajab nahin ki agar aaina muqabil ho

tumhaari tegh-e-ada KHud tumhaari qatil ho

na iKHtilaf-e-mazahib ke phir paDen jhagDe

hijab apni KHudi ka agar na hail ho

tumhaari tegh-e-ada ka fasana sunta hun

mujhe to qatl karo dekhun to kaise qatil ho

hamari aankh ke parde mein tum chhupo dekho

tumhaari aisi ho laila to aisa mahmil ho

ye arz roz-e-jaza hum karenge dawar se

ki KHun-baha main hamare hawale qatil ho

isi nazar se hai nur-e-nigah madd-e-nazar

mujhe habib ka didar ta-ki hasil ho

habib kyun na ho surat bhi achchhi sirat bhi

har ek amr mein tum rashk-e-mah-e-kaamil ho

ghazab ye hai ki adu ka jhuT sach Thahre

hum un se haq bhi kahen to guman-e-baatil ho

maza chakhaun tumhein is hansi ka rone par

KHuda kare kahin tum dil se mujh pe mail ho

tumhaare lab to hain jaan-e-masih o aab-e-baqa

ye kya zamane mein mashhur hai ki qatil ho

tumhaari did se sairab ho nahin sakta

ki shakl-e-aina munh dekhne ke qabil ho

isi rafiq se ghaflat hai aah ai 'afsar'

tumhaare kaam se jo ek dam na ghafil ho

(927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaare Hijr Mein Kyun Zindagi Na Mushkil Ho In English By Famous Poet Afsar Allahabadi. Tumhaare Hijr Mein Kyun Zindagi Na Mushkil Ho is written by Afsar Allahabadi. Read famous Poem Tumhaare Hijr Mein Kyun Zindagi Na Mushkil Ho for youth and Student by Afsar Allahabadi. Free Download Tumhaare Hijr Mein Kyun Zindagi Na Mushkil Ho in PDF.