Kya Bataen Haal-e-dil Unki Shanasai Ke Baad

kya bataen haal-e-dil un ki shanasai ke baad

habs baDhta hi chala jata hai purwai ke baad

ek muddat par KHayal un ka kahan se aa gaya

kitni achchhi anjuman lagti hai tanhai ke baad

jab nazar aaya na sahil un ki chashm-e-naz mein

kya dikhai dega wo dariya ki gahrai ke baad

dar-ba-dar ki Thokaren khain mohabbat mein to kya

ho gae hum mohtaram kuchh aur ruswai ke baad

hum kahan honge na jaane is tamasha-gah mein

kis tamashai se pahle kis tamashai ke baad

un ke bare mein faqat itna hamein malum hai

ab wo rahte hain hamare dil ki angnai ke baad

KHub hai 'afsar' hamein apni haqiqat ki KHabar

kya hamara nala-e-dil un ki shahnai ke baad

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Bataen Haal-e-dil Unki Shanasai Ke Baad In English By Famous Poet Afsar Mahpuri. Kya Bataen Haal-e-dil Unki Shanasai Ke Baad is written by Afsar Mahpuri. Read famous Poem Kya Bataen Haal-e-dil Unki Shanasai Ke Baad for youth and Student by Afsar Mahpuri. Free Download Kya Bataen Haal-e-dil Unki Shanasai Ke Baad in PDF.