Wo Hamari Samt Apna RuKH Badalta Kyun Nahin

wo hamari samt apna ruKH badalta kyun nahin

raat to guzri magar suraj nikalta kyun nahin

Thik uThte hain qadam bhi rah bhi hamwar hai

bojh apni zindagi ka phir sambhalta kyun nahin

jis tarah wo chahta hai Dhaal leta hai hamein

wo hamare dil ke paimane mein Dhalta kyun nahin

kya mohabbat mein kabhi hoti hai aisi kaifiyat

wo qarib-e-jaan hai lekin dil bahalta kyun nahin

aadmi ke dil ka jauhar yun to iman hai magar

aaj-kal bazar mein sikka ye chalta kyun nahin

jaane kaisi hain ye zanjiren hamare panw mein

garmi-e-raftar se loha pighalta kyun nahin

is maal-e-shauq par sab hath malte hain magar

tu kabhi 'afsar' kaf-e-afsos malta kyun nahin

(782) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Hamari Samt Apna RuKH Badalta Kyun Nahin In English By Famous Poet Afsar Mahpuri. Wo Hamari Samt Apna RuKH Badalta Kyun Nahin is written by Afsar Mahpuri. Read famous Poem Wo Hamari Samt Apna RuKH Badalta Kyun Nahin for youth and Student by Afsar Mahpuri. Free Download Wo Hamari Samt Apna RuKH Badalta Kyun Nahin in PDF.