Mujhko Manzar Ke Sile Mein Wo Sada Bhejta Hai

mujh ko manzar ke sile mein wo sada bhejta hai

KHub wo qarz mera kar ke ada bhejta hai

sarparasti bhi wo karta hai zabardasti se

dard karta hai ata aur dawa bhejta hai

mere dushman ki hai talwar meri gardan par

aur tu hai ki mujhe harf-e-dua bhejta hai

sanp jab jhuT ke duniya mein bahut ho jaen

dast-e-musa mein KHuda sach ka asa bhejta hai

'aftab' us ne parakhna ho kisi ko to agar

wo ghani karta hai aur dar pe gada bhejta hai

(552) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Manzar Ke Sile Mein Wo Sada Bhejta Hai In English By Famous Poet Aftab Ahmad Shah. Mujhko Manzar Ke Sile Mein Wo Sada Bhejta Hai is written by Aftab Ahmad Shah. Read famous Poem Mujhko Manzar Ke Sile Mein Wo Sada Bhejta Hai for youth and Student by Aftab Ahmad Shah. Free Download Mujhko Manzar Ke Sile Mein Wo Sada Bhejta Hai in PDF.